Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi॥
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi।
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi।
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi।
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi।
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi।
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi।
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi । ( 100% fact)
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi।
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi।
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........
4 टिप्पणियां:
Apki kavita jindgi ko chhoo leti hai.
apki kavita jindgi ko chhoo leti hai. good
Such hai ab riston ke liye waqt nahi hai. Apki kavita ne jhakjhor diya.
R. Bajpai
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi।
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi ।
wah kya baat hai........aisa laga jaise man ko kisi ne per liya.....
sabke dil ke jakhm hai ye .....kisi ko kisi ki sunne ka waqt nahi hai.......na jane kaha sab daur rahe hai.....kyo daur rahe hai....?
एक टिप्पणी भेजें